zindagi kay melay main, khuwahishoon kay relay main !
tumsay kia kahain janaan, is qadar jhamelay main !
waqt ki rawani hai, bakht ki girani hai !
sakht bay-zameeni hai, sakht la-makani hai !
hijr kay samandar main,,,,,,,,,,,,,,,,
takht aur takhtay ki ek kahani hai !
tum ko jo sunani hai,baat go zara si hai
baat umar bhar ki hai,
umar bhar ki baatain kab do ghari main hoti hain
dard kay samandar main,un-ginat jazeeray hain,
bay-shumaar moti hain
aankh kay dareechay main tumnay jo sajaya hai
baat is diyay ki hai
baat is gilay ki hai
jo laho ki khilwat main chor ban kar aata hai
lafz ki faseloon par toot toot jata hai
zindagi say lambi hai, baat rat-jagay ki hai
raastay main kaisay ho?
baat takhliyay ki hai